(1)
Jiski Hifazat ALLAH karay Usy koi nahi mita skta. Quran: Hum ne es Zikar (Quran) ko Nazil kia aur Hum he eski hifazat krne walay hain (Surah Al-Hijer # 15, Ayat #9, Para #14) Qiyamat Ki Nishani Lafz Mitna Nahi Bal k Elm ka Uthna Hay,Aap Quran ki Aayat ka Tarjuma Aor Ahadees parhnay k baad delete kar sakte hain, Qurani Aayat ka Tarjuma aor Sahi Ahadees ko Phelaen aor ISLAM Se Rokney Walon Ki Sazish Ko Nakam Bana dain.
(2)
Baab: ALLAH k Rastay main Shahadat Talab karnay ka Sawab" Mafhome Hadees: Jo Shaks ALLAH se Khalos-e-Dil se Shahadat Talab karay ga to ALLAH Usay b Shaheed k Martabay tak poncha day ga, chahay Wo Apne Bister Par hi Marray.
(Muslim, Hadees # 4930, Kitab uL Imarat, Ravi: Sahal Bin Hanif Rz.A)
Maot to 1 Din Aani hi hy,Dua karain k ALLAH hamain Jab Maot day to Shahadat ki Maot Naseeb Farmaye. Aameen.
(3)
Baab: Namazi K Samnay Say Guzarny Par Gunah,
HADEES:
"Agar Namazi Kay Samany Say Guzarny Wala Janta Kay Es Ka Gunah Kitna Bara Gy Tu Us Kay Samnay Guzarny Par 40 Saal Waheen Thehry Rehny Ko Tarjeh Daita.(Bukhari,H#484, Ravi:Abu Jaheem RaziALLAH Anho, Kitab-us-Saala).